Hello dosto mera naam hai Lalit aur app hai Digitaltips par jo ki mera Blog hai.To chaliye aaj ke topic par bat karte hai jo hai Affiliate Marketing kya hai.
Affiliate Marketing kya hoti hai Iss subject ko samjhane se pehle hume ye samjhana jaruri hai ki Affiliate word ka matal kya hai.Affiliate word ka matlab hai Relation ya ek taraf ki sajhedari jisme ek person kisi company se judke uske product or services ko promote karta hai or company ki sell ko badata hai.Sales hone par product ki cost ka kuch percent hissa Affiliate person ko milta hai.
Affiliate Marketing Issi prakar se apne product or services ko badawa dene ke liye use kiya jane wala tarika hai.
Affiliate Marketing me Manufacturing company apne products ko online sale ke liye kisi website pe display karti hai. Customer sidhe in website se bhi saman khareed sakta hai.Kai Blogger or website owner ye jante hai ki unki website pe unhe accha traffic milta hai.Acche traffic pe karan kuch percent customer website owners pe jariye lagaye gaye Adverstise par bhi react karte hai.
Ye Advertise Kisi ese product ke bhi ho sakte hai jinko website owner Affiliate ke jariye promote kar rahe ho.Yadi customer un Advertise pe react karne ke bad product ki manufacturing company ki website par pahuch jata hai or us product ko khareed leta hai to manufacturing company ka to sidhe profit hota hi hai or sath me jis website pe Adevertise ko click karke ko customer aaya hai us website ke owner ko bhi kuch percent commission mil jata hai.
Is tarah ki Marketing me dono ka hi fayda hota hai.Jadatar product ke manufacturer apne saman ki sell ke liye bade bade shopping portal pe seller ke taur par Registration kara lete hai.Is tarah ke bade bade portal jese- AMAZON, FLIPKART, SNAPDEAL etc.Ye sabhi portal bhi sell ke liye Digital Marketing ka sahara lete hai jese-Direct ads, Search Engine ads, Affiliate Marketing etc.
Is tarah ke bade bade portal seller ka registration to karte hai or sath me Affiliate ko bhi Registration karte hai.Affiliate ko Registration ke time apni Personal details,Billing details or apni ebsite ki jankari bhi deni padti hai.
Affiliate Marketing me product ke URL ke last me Affiliate ID ko jod diya jata hai.Affiliate in Affiliated URL ko apni website ,Forum ya Social media pe promote kar sakta hai.Is tarah se us product ko awareness milti hai jo ki Digital Marketing ka ek Important part hai.Kisi bhi product ko hazaro Affiliates promote karte hai kyuki unko us product ki sell pe commission milta hai.
Also, Read These Articles
social media marketing kya hai
Affiliate Marketing Kya Hai Or Kese Kam Karti Hai
Affiliate marketing karne ke liye apko sabse pehle Affiliate program ko Join karna padta hai.।nternet par apko bahut sare Affiliate Program mil jate hai. Aap jis tarah ke product ko sell karna chahte hai to us Affiliate program ko join kare.
Iske bad Apko us website par available kisi bhi saman ko sell karne ke liye us product ka link generate karna padta hai.Fir use online promote karna hai or jab us link par click karke koi product khareed leta hai to apko commission milti hai
Jese kisi salesman ko kisi product ko bechane ke liye company ki taraf se Incentive yani commission diya jata hai usi tarah Affiliate Marketing me kisi product ko bechane par commission milta hai.Isliye Agar Aap me kisi product ko bechane ka hunar hai to yeh apke liye pese kamane ka ek accha Plateform hai.
Affiliate Program
Jo online website ese Program chalati hai jise be us website ke kisi bhi Product ko promot karke sale karne ke bad commission deti hai. Un online website ke In Program ko affiliate Program kehte hai jese – Amazon, Flipkart, Sanpdeal, Clickbank, Ebay, etc.
Affiliate Link
Affiliate Program join karne ke bad kisi product ko bechane ke liye hame uska Ek link generate karna padta hai jise Affiliate Link kehte hai.
Affiliates
Jo log in Program ko join karte hai or us website ke product ko promote karke commission kamate hai Unhe Affiliates kaha jata hai.
Affiliate Marketing Me Use Hone Wale Terms
Affiliates :- Yaha Affiliate ek employee hai jo company ko join karke uske liye customer dund ke lata hai.
Affiliate ID :- Ek Important Identity jisme ye pata chal sake ki yeh customer kis Affiliate link ke jariye aaya hai.
Affiliate Link :- Ek esa link jisme Affiliates ka Username ya User Id chhipa hota hai jiski help se Affiliate Program Offer karne bale Lead or Business ko Track karte hai.
Commission :- Sum Amount jo Affiliate Program Offer ksrne bali Company ke jariye Affiliate ko diya jata hai . Yeh Sell ka kuch Percentage hota hai ya pehle se fix amount hota hai.
Affiliate Manager :- Company ki taraf se jo person Affiliates ko Suggestion deta hai bo Affiliate Manager kehlata hai.
Link Clocking :- Affiliate Link me Affiliate ka Username or User id chhipa hota hai or sath hi Destination Website ya Product ka Link hota hai jis bajah se URL kafi bada ho jata hai.Ise chhota karne ke liye URL Shortness ka use kiya jata hai. Ese link ke URL ko short karna hi Link Clocking kehlata hai.
Affiliate Market Place :-Esi Companies jo alag alag Product ya Website ka alag alag Affiliate Program Offer karti hai.Esi Companies ko Affiliate Market Place kehte hai.
Payment Mode :- Iska matlab hai ki Program Offer karne bali Company Affiliates ko kis Mode me Payment karegi jese Bank Transfer, Paypal ya koi or Mode.
Payment Threshold :- Ye ek esa Amount hota hai jab apka Income, Threshold Amount ke barabar ya jada ho jata hai tab Company apko Payment Release karti hai.
Affiliate Related Questions
Affiliate Marketing se jude kuch ese Questions jo sabse jada Forum or social media website par puchhe gye hai.
Ques–Kya Affiliate Marketing ke liye Website jauri hai ?
Ans-Vese to Aap Facebook Page, Group,Google Plus page ya kisi ko whats app par bhi link send kar sakte hai lekin yadi Apke pass website ya blog hai to apke liye jada accha hoga.
Ques-Adsense ya Other Network ke sath Affiliate Marketing use kar sakte hai ?
Ans-Ji ha bilkul kisi bhi AD NETWORK ke sath AFFILIATE MARKETING ka Link Use kar sakte hai.
Ques-Affiliate Marketing se kitna pesa kama sakte hai ?
Ans-Yeh Completely Apke upar Depend karta hai,Aap kitna kamana chahte hai. Jitna jada Aap link ko promote karenge utna hi sale generate hoga or utna hi jada apki Income hogi.
Ques–Kese pata kare ki konsi si company Affiliate Program Offer kari hai ?
Ans-Yeh pata karna bahut hi Asan hai Simply Affiliate Word ke sath us company ka naam Google me search kare.
Yeh kuch Company ki list jo Affiliate Program Offer karti hai.
- CLICKBANK.
- VCOMMISSION.
- JVZOO.
- AMZAON ASSOCIATES.
- FLIPKART AFFILITES.
CONCLUSION
Muje ummid hai ki apko Affiliate Marketing kya hai ke bare me jakari ho gai hogi or ye meri post aap logo ko pasand aayi hogi to jaldi se iss post share karna na bhule or agar is post me kuch reh gya hai ya kuch samaj nhi aaya hai to niche comment karke muje bataye.Thank you